sona

Na sona 
Na chandi 
Mairay dil nay
Aik dua ke 
Mairay Rub Nay mujh ko 
Aik Baytee de. 

Na soya 
Na jaaga 
Bus waheen par 
Khara raha 
Mairay Rub ke hay ye 
Mehairbani 
Kay mujh jaisay mard ko
Aik Baytee de.

Mairay Maalik 
Shukriya 
Kay Aap Nay mujh ko
Do Baitiyaan de 

Mairay Maalik
Shukriya 
Kay Aap Nay mujh ko
Do Baytay bhi deeyay. 

Mujhay sekkha Dain 
Kaisay buntay hain
Salayheen.

Comments

Popular posts from this blog

If He Wishes

He will give you something